MBBS Full Form In Hindi Full Form Of MBBS Degree In Medical Full Form Of MBBS In Hindi
What Is The Full Form Of MBBS Doctor MBBS Degree Full Form
MBBS Ki Full Form MBBS Ki Baatein
|
MBBS Ka Full Form Kya Hai MBBS Ka Matlab
|
MBBS Degree Information M.B.B.S Course Details In India
MBBS ki full form (Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery) hai. MBBS wo log karte hain jo doctor banana chahte hain. MBBS karne ke liye aapko Science Subjects ke sath pass hona zaroori hai. Science subject ke bina aap MBBS Medical Degree mein admission nahi le sakte. Bachelor of Medicine aur Bachelor of Science ye do course professional doctor banane ke liye ek sath kiye jate hain. MBBS course ki duration 5 saal aur 6 months hoti hai. MBBS mein admission lene ke liye aap ka 12th mein pass hona lazmi hai aur Intermediate mein English, Chemistry, Physics and Biology ke 60% marks hona zaroori hai.
Entrance Exam for MBBS Course Admission In India
AIIMS (All India Institute of Medical Sciences) Students ko MBBS course mein admit karne ke liye apna entrance exam leti hai. Ziyada tar central universities aur state universities entrance exam leti hain. Lekin kuch states jesy Tamil Nadu mein MBBS Course ke liye entrance exam khatam ho gaya hai. Ye states students ko unke Physics, Chemistry aur Bilogy ke marks par admission de deti hain.
MBBS Course Mein Kya Kuch Shamil Hota Hai?
India mein MBBS Course ko 4 parts mein divide kiya jata hai jiske baad internship hoti hai. Sab sey pehle First MBBS (I MBBS) phir Second MBBS (II MBBS) uske baad Final MBBS phir agay Final MBBS ke bhi 2 parts hote hain Final MBBS Part I Final MBBS Part II.
MBBS Syllabus In India Year Wise
First MBBS (I MBBS)
MBBS course ke first year mein pre-clinical courses shamil hote hain jesy Anatomy, Human Physiology aur basic Biochemistry. Ye basics subjects hain jo aap pehle saal mein learn karte hain. Student ko I MBBS ka final examination pass karna zarori hota hai uske baad he wo II MBBS ki taraf ja sakta hai. Agar student ne I MBBS clear nahi kiya to phir usay intermediate batch mein rakh diya jata hai. Aam taur par morning sessions hote hain jahan par Anatomy ki learning ke baad dissection ki class hoti hai. Afternoon sessions mein theory class hoti hai jo Biochemistry aur Physiology laboratory work ke sath chalti hai.
Second MBBS (II MBBS)
Second MBBS ki course duration 1 year or 6 months hoti hai. Second MBBS mein student Pathology, Microbiology, Pharmacology aur Forensic Medicine ke baray mein parhty hain jo II MBBS ke main subjects hain. Morning session mein student ko clinical wards ya phir OPDs (Out Patient Department) attend karwaye jate hai takay student ka experience ho sake phir afternoon mein theory class hoti hai aur uske baad laboratory work hota hai.
Final MBBS
Final MBBS mein 2 parts hote hain jinhen III MBBS Part I aur III MBBS Part II kaha jata hai.
Final MBBS Part I (III MBBS Part I)
Final MBBS Part I ki course duration 1 saal hoti hai. Is me student Community Medicine, Ophthalmology aur ENT (Ear Nose and Throat) learn karte hain.
Final MBBS Part II (III MBBS Part II)
Final MBBS part II ki course duration 1 saal hoti hai aur is mein clinical subjects of Medicine, Paediatrics, Surgery jis mein (Orthopaedics), Obstetrics aur Gynaecology shamil hai. Final exam pass karne ke baad student Medical Council of India (MCI) ya phir State Medical Council ke sath provisional registration ke liye eligible ho jata hai. Student ko sirf us waqt MBBS degree award ki jati hai jab wo Compulsory Rotatory Residential Internship ko complete kar leta hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.
Comments
Post a Comment