B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

B.Com Ka Full Form In Hindi B.Com Ki Full Form Hindi Me


Bachelor of Commerce Degree Course Details



B.Com ki full form Bachelor of Commerce hai. B.Com aik aisi degree hai jo Commerce aur Business mein Universities ki janib sey di jati hai. B.Com kay courses part time aur full time bhi ho sakte hain. B.Com degree course ki duration 3 sey 4 saal tak hoti hai. Study program skills management sey related offer ke liye design kiye jate hain. Jo log Science ya phir Arts subjects mein interested nahi hote Commerce aise logon ke liye preferred subject hota hai. Bohat saray disciplines hain jin mein degree kay course mein students ko mukhtalif areas mein training di jati hai.
Major subjects ke sath Accounting, Economics, Statistics, Business Management, Banking, Information Systems, Marketing, Human Resources aur Finance jesy subjects bhi parhaye jate hain. Course study kay doran B.Com ke students live-projects bhi lete hain ye project accounting, laws of commerce, making financial decisions, management of wealth etc. ke mutaliq hote hain. Ye projects theory aur practical applications ke darmiyan gap ko kam karte hain.

Eligibility Criteria for Bachelor of Commerce B.Com Courses


B.Com course mein study karne ke liye bunyadi criteria 12th class pass hona ya phir iske barabar exams pass hona lazmi hai. Commerce colleges aur Universities sirf un students ko admission deti hain jinhone 12th mein kam az kam 50% marks hasil kiye hoon. Bohat saray aisy colleges han jo 12th class ke numbers ke mutabiq merit list banate hain. Ye colleges cut-offs announcement ke liye responsible hote hain.
Admission lene ke liye students ko ye cut-offs karne mein clear karna zarori hota hai. B.Com degree ke liye koi entrance exam nahi liya jata science students bhi B.Com study programs mein admission le sakte hain. Mostly Colleges mein 11th class aur 12th class mein jo subjects lazmi hote hain un mein office practice, Commerce, Economics, book-keeping aur accountancy shamil hai.

Specialization in B.Com Degree Courses


Bachelor of Commerce mein darj zail specialization karwai jati hain:

Office Management: Is field mein study programs work ethics, office administration, applications of computers, communication skills, corporate culture etc. shamil hain.

E-Commerce: Is area mein e-commerce business ki management jesy internet par business portals aur online shops, legal issues aur technical issues bhi shamil hai.

Sales Management and Advertising: Is course mein sales management aur advertising ke mutaliq sikhaya jata hai. Jo log advertising aur marketing industry mein enter hona chahte hain unke liye is course mein bunyadi malumat shamil hoti hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu