DSLR Kya Hai DSLR Digital Camera Ki Full Form DSLR Ka Full Form DSLR Meaning in Hindi
DSLR Definition Photography DSLR Camera In Hindi
DSLR Digital Camera Details in Hindi/Urdu |
DSLR Camera Information
DSLR ka full form Digital Single-Lens Reflex Camera ya Digital SLR hota hai. DSLR Camera aaj kal ka bohat popular ho chuka hai ye Digital Camera bohat acha aur clearcut result deta hai. Ye digital camera single lens reflex camera aur digital imaging sensor ke functions ke sath kam karta hai. DSLR Camera mein use kiya gaya mechanism ek aam camera mein istemal hone waly system se bohat mukhtalif hota hai. DSLR camera aur ek aam camera mein basic difference ye hai k DSLR Camera ka picture lene aur dekhne ke liye sirf ek lens hota hai jab ke general taur par istemal hone waly camera ke 2 lens hote hain.
DSLR ki image quality bohat achi hoti hai agar light kam bhi ho to DSLR camera acha image provide karta hai. DSLR ki image quality acha hone ki main wajah DLR mein istemal kiya gaya lens hota hai jiski wajah sey image ka exposure theek ata hai. DSLR ek aam camera sey mukhtalif hota hai aur iska weight bhi ziyada hota hai. Technology ki sab sey bari achievement camera hai jis sey insan apni memories ko camera ki nazar mein mehfooz kar sakta hai is sey pehle log sirf apni yaadon mein cheezon ko yaad rakh sakte thy lekin jesy jesy waqt guzarta gaya technology mein jidat aati gai 2014 ke mutabiq DSLR sab sey zyada istemal hone wala camera hai. DSLR ko properly Digital Single-lens Reflex Camera ya phir Digital SLR kaha jata hai DSLR aik trend ban chuka hai DSLR mein use kiya gaya mechanism photographic film mein use kiye gaye mechanism se mukhtalif hota hai.
DSLR design mein reflex design scheme sab sey main cheez hai jis mein light camera sey nikalti hai phir Mirror par parti hai jo image ko viewfinder ya image sensor ki taraf direct karti hai. DSLR mein phase detection autofocus feature bhi hota hai jo kay DSLR ki popularity ka hisa hai aam taur par tamam DSLR cameras popular Phase-detection autofocus ka istemal karte hain jo kay optimal lens ko manually adjust karne ki sahulat deta hai. DSLR ka autofocus dusi autofocus techniques sey tez hota hai. Market share mein Japanese manufacturers ke DSLR cameras popular ja rahe hain jin mein Canon, Nikon, Sony, Olympus aur Pentax shamil hain. Top 5 camera makers Japanese hain jaise Sigma, Leica, Mamiya, Hasselblad etc.
DSLR Cameras ko digital camera sey prefer isliye kiya jata hai kyun ki DSLR ka sab sey bara faida ye hota hai kay iska image sensor large hota hai images ko high quality mein banata hai DSLR harkat karne wali situations aur cheezon ki high quality images banane ke qabil hota hai ye cameras jaldi sey image banane kay qabil hote hain DSLR ke sath accessoriesbhi use ki ja sakti hain jjaisaykay Flash Units, Battery Grips aur Light Meters waghera DSLR larger image focal length de sakte hain jis sey effects bhi ache lagte hain DSLR aam digital camera sey bohat achi performance dete hain.
bahut achi jankari di sir aapne...
ReplyDeletethank you Aman Singh Tomar yahan par aap GIF image ke baray mein bhi parh sakte hain GIF Image Format Jankari in Hindi/Urdu
Delete