URL Ki Full Form Kya Hai URL Ka Matlab Kya Hai URL Full Form In Hindi

URL Ka Pura Name URL Full Form Meaning In Hindi

URL Web Address Explanation In Urdu/Hindi

URL Ka Full Form Kya Hota Hai




URL ki full form Uniform Resource Locator hai. Yeh bunyadi taur par Computer network mein aik web source ka reference hai. Ye resource ki location batata hai aur dobara source hasil karne ka mechanism deta hai. URL ko pehle Universal Resource Locator kaha jata tha. Aik URL aik web address hota hai jo kisi file, document ya phir internet WWW (World Wide Web) par dusre resources ke liye unique address hota hai. URL ki khoj ek English Scientist Tim Berners-Lee ne 1994 mein ki thi.
Aam taur par URL ke pehle adhy hisy ko "protocol identifier" kaha jata hai kyun ki ye istemal kiye jane waly protocol ko identify karta hai. URL ke dusre hisse ko "Resource Name" kaha jata hai kyun ki ye domain name ya web source ka IP address zahir karta hai. URL ka first half aur second half aam taur par colon (:) ke zariye separate kiya jata hai aur iske baad 2 forward slashes (//) hoti hain. Aik aam synonym jise URL ko refer karne ke liye istemal kiya jata hai wo "Web Address" hai. Kuch log term domain name ke sath confuse ho jate hain domain name usay kehte hain jo web par aik khas computer ko locate karta hai aur wo URL ka hisa hota hai.
For example: Meri website ka URL http://www.kyahotahai.com hai to "kyahotahai.com" iska domain hai. Web browser aam taur par URL ko address bar mein display karta hai. Kya aap ko URL samjhne mein mushkil pesh aa rahi hai to aap ko ek aur example ke sath bata raha hoon jise aap asani se samjh sakte hain.

For example: Ek URL http://dunyaeinternet.blogspot.com/2016/07/free-website-domain-name-and-hosting-internet-domain-registrar-and-web-hosting-company-web-hosting-and-domain.html hai.

Ab is URL mein:
dunyaeinternet.blogspot.comName of the website (Host Name)

http:// – Protocol


free-website-domain-name-and-hosting-internet-domain-registrar-and-web-hosting-company-web-hosting-and-domain – File Name

http://dunyaeinternet.blogspot.com/2016/07/free-website-domain-name-and-hosting-internet-domain-registrar-and-web-hosting-company-web-hosting-and-domain.htmlThe location of the resource hai. Kya aap jante hain kay aap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu