IRDP Ka Full Form IRDP Full Form in Hindi

IRDP Meaning in Hindi


Integrated Rural Development Programme


IRDP Means



IRDP ki full form Integrated Rural Development Program hai. IRDP aik development program hai jo kay Indian government ne 1978 mein banaya tha.  1980 mein ye puray India mein phail gaya ye program self-employment se taluq rakhta hai. IRDP ka main focus ghareeb logon ke groups ki income ki capacity ko increase karna aur generate karna hai. Ye program kisanon, dehyi dastakaron, zarai mazdooron aur chote kisan jo ghurbat ki line sey niche zindagi guzar rahe hain unhe target karta hai. Chote kisano ko 25 percent subsidies di jati hai iska 35 percent dehat kay dastakaron, zarai mazdooron aur kisano ko ke liye rakha jata hai.



Aisy log jo jismani taur par mazoor hote hain aur jinhen Schedule tribes aur Schedule caste kaha jata hai jiska matlab hai aisy log jinhen achoot samjha jata hai aur schedule cast ka matlab India ki lowest caste hai. Jismani tor par mazoor aur Schedule tribes aur Schedule caste ki families ko 6 hazar rupay subsidiary ke taur par 4 hazar rupay non-DDP aur non-DPAP areas aur 5 hazar rupay DDP aur DPAP areas ko diye jate hain. 50 percent schedule tribes aur schedule caste ki coverage 40 percent women aur baqi 3 percent jismani taur par mazoor logon ko diye jate hain. Jin logon ko faltu zameen, agreement walay mazdoor aur green card rakhne walay jo FWP (Family Welfare Program) ke under ate hain unhen bhi tarjeeh di jati hai.

RDP India mein ghurbat ko khatam karne ke liye banai gai hai iska asal maqsad ghurbat ki line sey neeche zindagi guzarne walay logon ko suitable assets credit aur subsidiary dena hai. Jiski wajah sey wo ghurbat sey bahir nikalne ki umeed kar sakte hain. Poverty line census 1998 year ke mutabiq aisi families jinki income 20 hazar ya is sey kam hai aisy log below poverty line category mein ate hain.  Program ka 5 year mein total kharcha 33 billion rupees hai. Iss program mein hisa lene wali families 13 million hai in programs ne  ki madad sey agricultural sector mein production kisan ki maali madad aur taleem aur dusry assets pedawar ko barhane mein kafi madad mili hai. Kya aap jante hain kay sirf 1 minute mein mein aap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand aayi hai to isay apne friends ke sath share karen jiski wajah sey logon tak ye malomat pahunche gi aur is tarah aap dusron ki help kar sakenge.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu