PPT Ka Full Form Kya Hai PPT Ka Matlab PPT Full Form in Hindi

PPT Ki Jankari PPT Ka Pura Naam


Microsoft Powerpoint Full Form

PPT Full Form in Computer




PPT ki full form Powerpoint presentation hai PPT bunyadi taur par Microsoft k office suit ki application powerpoint jis ki madad sey PPT files create ki jati hai. Slides ka set jis mein malomat kisi bhi topic k hawaley sey majood ho usy presentation kaha jata hai. Business meetings, teaching, training, coaching ke doran powerpoint presentations istemal ki jati hain. Powerpoint ki pehli slide mein topic name shamil hota hai jis mein present karne wala ka name bhi shamil ho sakta hai aur aur ye bhi ho sakta hai presentation mein presentation banane walay ka name shamil na ho. Content slides title slide ko follow karti hai content slides mein details aur information textual form mein aur aam taur par bulleted list form mein hoti hai aur aksar is mein graphics bhi shamil kiye jate hain.


Graphics mein animations, diagrams, charts, graphs, photos, videos aur screenshots shamil hote hain. Baaz auqat last slide mein wrapping up ko istemal kiya jata hai misal kay taur par final slide mein text kuch is tarah ho sakta hai Questions? References? ya Conclusions waghera. Business meetings mein aksariat powerpoint presentation ka muzahira karti hai jis mein aik plan ki wazahat ki jati hai aur kuch is tarah kay mamlat hote hain. Ye activity teleconference meetings aur face-to-face meetings mein bhi ki jati hai. Businesses mein ye presentations training material ko present karne ke liye istemal ki jati hain. Bohat saray schools, colleges, universities aur dusri education institutes, professors, instructors isky ilawa teachers PPT ko apne lectures mein istemal karte hain. Iss tarah ye unhen har class shuru hone sey whiteboard blackboard ya chalkboard par likhne ki bajaye sirf presentation ki madad sey students ko samjha dete hain.


Students bhi in-class presentations ke liye Powerpoint ka istemal karte hain. Microsoft corporation aik janimani company hai jo kay powerpoint ki developing aur manufacturing ki zimedar hai. Microsoft Office Suite mein dusry bhi softwares shamil hote hain jaise MS Word, MS Excel, MS Access, MS One Note waghera lekin Powerpoint ko speartly bhi buy kiya ja sakta hai. Microsoft powerpoint MacOS platform ko bhi support karta hai. Computer system jis mein Microsoft Office Suite install ho usay PPT files dekhne ke liye istemal kiya ja sakta hai powerpoint viewer bhi hota hai jise aap Microsoft ki website par ja kar download kar sakte hain Powerpoint Files Viewer free hai. Yahan par ap ye baat yaad rakhen ke viewer sirf dekhne ke liye hai viewer par aap presentations ko create ya edit nahi kar sakte uskay liye aap ko Microsoft Office Suite install karna hoga. Kya aap jante hain kay sirf 1 minute mein mein aap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand aayi hai to isay apne friends ke sath share karen jiski wajah sey logon tak ye malomat pahunche gi aur is tarah aap dusron ki help kar sakenge.

Comments

  1. Thanks for providing the full form of PPT and explaining the whole content in hindi.

    This could be very helpful for all the people who want to know regarding PPT in hindi

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi