MCA Full Form In Education MCA Ka Full Form Hindi Mai MCA Long Form In Hindi

MCA Full Form In Computer MCA Computer Course Details In Hindi


mca course details and scope
MCA Degree Course Details and Scope


Mca Computer Course Details In Hindi


MCA ka matlab hai Master of Computer Applications MCA Computer Application mein aik post graduate course hai. MCA aam taur par BCA yani Bachelor of Computer Application k bad kiya jata hai. MCA aise log bhi kar sakte hain jinhone kisi dusre course mein graduate kiya ho jesy k BBA B.Sc. aur B.Com waghera shart ye hai k us degree mein aap ne mathematics aur computer science parha ho.
Masters of Computer Application aik 3 sala course hai jiske total 6 semester hote hain. MCA final semester mein project development aur on job training di jati hai. Ye course IT companies ki requirements ko pura karne ke liye karwaya jata hai. MCA mein operating systems, networking operations, database management system, operation research, object oriented programming, multimedia and business administration shamil hain.

Why You Should Do MCA?


Bachelor of Computer Applications (BCA) barhne wali computer industry k mutaliq ilm deta hai. Graduation k bad aap ek achi salary wali job hasil kar sakte hain agar aap ki skills aur performance good hai. Bohat saray students campus placement k zariye 5th aur 6th semester mein select kiye jate hain. Bachelor degree ki wajah se jo knowledge milta hai wo basic aur limited hota hai technology ki badalti hui duniya mein insaan mazeed malomat hasil nahin kar pata Master of Computer Application (MCA) student ko gehrai mein le kar jata hai takay field mein hone walay kaam ko aur trend ko samajh sake.

MCA Admission Eligibility

MCA mein admission k liye graduate degree mein minimum 50% marks hona zaroori hai.
MCA requirements mein degree mein Mathematics, Science subjects k sath pass hona lazmi hai.

MCA Syllabus


Bohat saray colleges aur universities aisi hai jo BCA karwati hain MCA Open Universities jesy IGNOU bhi karwati hain aur aap ye course online bhi kar sakte hain. Bachelor of Computer Application ki tarah Master program mein bhi 6 semester hote hain jo 3 saal me mukamal kiye jate hain har semester mein practical session hote hain jis mein nayi technology aur skills practice ki jati hain.

First Semester

1st semester mein accounts aur finance management, computer programming, like C, UNIX aur Shell etc. shamil hota hai aur computer science mein shamil mathematics hoti hai.

Second Semester

2nd semester mein kisi bhi organization ka structure hota hai aur human resource management data aur file maintenance jis mein C Programming, statistical aur numerical procedure hota hai jo k computer par mushtamil hota hai iske alawa C++ ka intro bhi hota hai.

Third Semester


3rd semester mein system par tawaja di jati hai jis mein JAVA, internet programming, database learning management, different operating systems aur computer networking par focus kiya jata hai.

Fourth Semester

4th semester mein Visual Basic E-commerce mein foundation course, modeling aur simulation aur animations + computer graphics shamil hote hai iske alawa software kis tarah banaya jata hai iske mutaliq intro diya jata hai aur iske alawa apna pasandida subject choose karne ki bhi option hoti hai.

Fifth Semester

5th semester mein internet aur web technology, enterprise resource planning (ERP) system shamil hota hai.

Sixth Semester

Final semester mein aam taur par industrial projects aur knowledge ko refresh kiya jat hai aur on-site experience hasil kiya jata hai.

Career Scope after doing MCA (MCA karne k bad mustaqbil)


Chunky MCA course har lehaz se computer related field hai jis mein tafseel k sath wazahat ki jati hai. MCA karne k bad students ko mid-senior level par asani se job mil sakti hai. MCA karne k bad mukhtalif posts par apply kiya ja sakta hai.

MCA complete karne k bad aap software engineer, system analyst, quality control engineer, software consultant, programmer, software developer, networking and database administrator aur technical support engineer jis mein hardware k mutaliq issues discuss kiye jate hain. Soft skills course k doran develop ki jati hain.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu