B.Sc. Ki Full Form Kya Hai B.Sc Course Detail In Hindi B.Sc. Ki Jankari Hindi Me B.Sc. Ki Puri Jankari

B.Sc. Course Information In Hindi B.Sc.. Nursing Course Details In Hindi


B.Sc Degree Programmes Courses Information

B.Sc. Nursing Ki Jankari B.Sc. Meaning In Urdu



B.Sc. ki full form Bachelor of Science hai. B.Sc. aik undergraduate degree course hai jo 3 years ka hota hai aur ye accredited college sey hota hai. B.Sc. ke naam sey pata chalta hai kay ye aik science ki degree hai lekin ye degree mukhtalif subject specialization mein bhi award ki jati hai. Jin mein kuch subjects ye hain:- Computer Science, Mathematics, Chemistry, Physics, Zoology, Information Technology, Agriculture, Botany aur Nursing etc.
B.Sc. India aur Pakistan mein bohat popular course hai aur colleges mein kafi students ye course karte hain. Koi bhi student jis ne HSC Exam yani 10+2 12th level mein zaroori science subjects yani Physics, Chemistry, Math aur Biology ke sath pass kiya ho wo B.Sc. course ke liye apply kar sakta hai. B.Sc. complete karne ke baad student job ke apply kar sakta hai ya phir higher education M.Sc (Master of Science) degree ya phir management mein post graduation jesy MBA bhi kar sakta hai. B.Sc. passed candidates ke liye science aur non-science field mein jobs opportunities ho sakti hain.

BSC Full Form


B.Sc. ka lafz Latin phrase Scientia Baccalaureus sey nikla hai ye bunyadi taur par aik undergraduate degree hai jo aisy students hasil karte hain jinhone study programs successfully complete kar liya ho. B.Sc. ki duration aam taur par 3 saal hoti hai. India mein mukhtalif subjects ke sath BS.c ki degree di jati hai. Ye subjects 2 categories mein divide kiye ja sakte hain jo Honors courses aur pass courses hain. India ke science colleges 3 years ki B.Sc. degree offer kar rahe hain.
Students ko mukhtalif specialization aur available options sey choose karne ki zaroorat hoti hai. Options mein aam taur par Chemistry, Biotechnology, Computer Science aur iske ilawa kafi subjects hote hain. Study programs ko students ki requirments ko pura karne ke liye design kiya jata hai. B.Sc. ka curriculum aur program ka study structure dusri bachelor degrees ya phir undergraduate courses se milta julta hota hai. 3 saal kay programs mein har saal 2 semesters hote hain bohat sari specialization mein subjects jesy English aur Math students ke liye compulsory subjects hote hain.

B.Sc. Course Eligibility Criteria In Hindi


B.Sc. degree ke liye kafi eligibility criteria majood hain. Students ko criteria sey guzarna hota hai aur is study programs mein admission lene ke qualify karna hota hai. Aisy students jo diploma holders hain wo B.Sc. ke liye apply kar sakte hain. Students ko 12th class ya Higher Secondary Board sey pass karna lazmi hota hai.
B.Sc. ke pasandeeda subject mein admission lene ke liye students ko us subjects mein minimum marks hasil karna zaroori hain. Ye cut-off marks us university ya college ki taraf sey hote hain jahan par aap admission lena chahte hain. B.Sc. mein admission lene ke liye students ko science subjects ke sath 12th class pass karna zarori hai. B.Sc. mein admission lene ke liye minimum age 18 years hai aur maximum age 23 years hai.

Admission Process for B.Sc. Programmes


India mein B.Sc. study program mein admission lene ke liye koi khaas entrance exams nahi liya jata lekin kuch courses ke liye kuch colleges aur universities ki janib sey entrance exam liya jata hai. Misaal kay taur par famous institute jesy AIIMS (All India Institute of Medical Sciences) aur Banaras Hindu University B.Sc. nursing courses ke liye entrance exam leti hai.
B.Sc. course ke applications forms ko mukhtalif colleges mein June aur July k mahine mein issue kiya jata hai. Forms mein tamam credentials, mark sheets, school leaving certificate aur residential certificate B.Sc. courses mein apply karne sey pehle dena hota hai. Phir students ko merits ke hisab sey B.Sc. course mein admission mil jata hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu