SMS Full Form In Hindi SMS Ka Full Form Matlab of SMS SMS Ki Jankari SMS Meaning In Urdu
SMS Ka Pura Naam SMS Ki Jankari SMS Matlab
Kya Hota Hai
SMS Full Form in Hindi SMS Definition In Urdu |
SMS Ki Full Form Kya Hai SMS Definition In Hindi
SMS ki full form Short Message Service hai. SMS aik aisi service hai jo mobile phones par aur smartphones par short message bhejne ki ijazat deti hai. SMS ko short message isliye kaha jata hai kyon ki is mein sirf 160 characters jin mein alphabets, numbers aur symbol shamil hote hain.
SMS mobile communication mein bohat aham service hai. Aaj ki duniya mein koi bhi mobile aisa nahin jis mein SMS karne ki saholat majood na ho SMS ko text message bhi kaha jata hai. SMS ko GSM connection kay zariye send aur receive kiya jata hai.
SMS ki service ko istemal karne ke liye aap ke mobile phone ya smartphone mein SIM Card ka hona zaroori hai. SMS ka tasawwur Bernard Ghillebaert aur Friedhelm Hillebrand ne 1964 mein pesh kiya tha. Shuru mein SMS ka istemal bohat kam tha ahista ahista tamam mobile networks aur mobile phones ne apni service mein SMS ko shamil kiya is waqt SMS puri duniya mein sabse zyada istemal hone wali application hai. Banks ki taraf say transaction kiye jane par bhi aap ke mobile par SMS bhej diya jata hai jiske zariye aap bank transactions ka track kar sakte hain.
SMS Full Form in Hindi SMS Ki Full Form Hindi Me
Is daur mein jahan communication aik bohat important role play karti hai is cheez ki bohat zaroorat thi baaz auqat aisa hota hai jis shakhs ke sath hum rabta karna chahte hain wo shakhs jahan par majood hota hai wahan network issues ki wajah say uske sath rabta nahi ho pata isliye usay SMS bhej diya jata hai jesy he wo network coverage mein enter hota hai to usay SMS mil jata hai.
SMS Kya Hai? Uses of SMS Marketing
SMS ya Short Message Service aik text messaging service hai jo mobile devices ke darmiyan data transfer ya phir fixed line hai jo kay short alphanumeric messages jo kay 160 Latin characters ya phir 70 non-Latin characters ke hote hain jesy Arabic, Urdu, aur Chinese. Ye message ko transmit karne, store aur forward karta hai.
Global System for Mobile Communications ya GSM mobile phones aur third generation 3G Wireless network ke zariye puri duniya mein SMS send kiya jata hai. Local, Roaming aur international SMS bhejne ke liye mukhtalif charges hote hain. Har aik SMS mein zyada say zyada 160 characters aur 140 bytes data hota hai aur agar is say zyada lamba message bhejna ho to phir bhi 1 message k andar he bheja ja sakta hai. Aik message kay andar 160 characters say zyada msg send karne ke liye charges bhi usi hisab say hote hain misal kay taur par agar aap ne 160 characters say zyada lamba msg bheja aur 161 characters ka msg send kar diya to phir aap ko 2 messages ke paise charge honge.
SMS ko mobile device ke zariye aik collection center mein bheja jata hai jise SMSC (Short Message Service Center) kaha jata hai. Yahan par mobile network ki janib say subscriber ki location ka pata lagaya jata hai aur phir is message ko matlooba jagah ya device par small data packet ki shakal mein bhej diya jata hai. Agar jisay message bheja raha hai us shakhs ka mobile off ho ya network na ho out of coverage area mein ho to phir jab wo shakhs apna mobile phone on karta hai ya coverage area mein enter hota hai to usko foran message mil jata hai.
SMS Ka Istemal Uses Of Sms In Business Use Of Sms In Business Communication
SMS point-to-point transmission ke liye aur Cell broadcasting ke liye bhi ek effective communication tarik kar hai jo kay kisi khas ilaqay mein rehne wale subscribers ko target karne ke liye advertise karne ke liye bhi use kiya jata hai. Person to person aik special communication hai. Dusri taraf is waqt A2P (Application to Person) service tezi se popular ho rahi hai. Ye communication aik application say subscriber ke liye hoti hai. Airlines, Hotels, Railways is service ko apne customers k booking status, departure aur arrival timings ko update rakhne ke liye karte hain.
Financial institutions jesy Banks A2P service ko apne clients ko deposits, withdrawals aur transactions jo kay debit card ya phir credit card ke istemal se ki jati hain unsay agah rakhne ke liye karte hain. Iski madad se client ko apne bank account k status ki details ka pata chalta rehta hai. Kai dafa aisa hota hai k hamare pass call karne ke liye itna waqt nahi hota isliye hum message type karke us shakhs ko bhej dete hain aur phir hamein delivery report ki madad say ye bhi pata chal jata hai kay hamara message next person ko deliver ho chuka hai ya nahin is tarah apni baat agay pohchany mein asani ho jati hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.
Comments
Post a Comment