What Is The Full Form Of SIM Which Is Used In Mobile Phone SIM Card Full Form In Hindi
SIM Full Form SIM Ka Pura Naam Kya Hai
What Is The Full Abbreviation Of SIM
SIM ki full form Subscriber Identity Module hai. Ye ek smart card hota hai jo cellphone mein dala jata hai. SIM ke andar ek khas number hota hai jo owner ko diya jata hai aur SIM mein Data bhi store hota hai jaise Phone Contacts Numbers aur Messages aur jab aap ye SIM mobile mein sey nikal dete hain to koi bhi shakhs aap ky contacts aur messages nahi dekh sakta agar aap ne mobile phone mein numbers aur messages save kiye hue hain to wo SIM ke baghair bhi show ho sakte hain aur kisi dusri SIM ko daal kar bhi dekhy ja sakte hain. Lekin koi bhi apka number use nahi kar sakta kyu ki wo SIM Card sirf aap kay pass hota hai.
CDMA ya Code Division Multiple Access phones mein SIM use nahi hoti SIM ka use sirf GSM Mobile phones mein hota hai. SIM Card mein aik choti si chip lagi hoti hai. SIM ka eham function ye hota hai kay aap agar apna mobile sale kar dety hain aur apni SIM kisi dosry Mobile mein istemal karna chahte hain to aap asani sey us mobile mein apni SIM ko daal kar istemal kar sakte hain aur apki SIM mein available Balance aur Contacts Number aur Sms bhi dusry mobile mein show ho jayenge matlab mobile badalne kay baad aapko nayi SIM khareedne ki zarorat nahi parti.
Comments
Post a Comment