Full Form of VPN In Computer What Is VPN Full Form VPN Full Form In Networking VPN Ka Full Form In Hindi

VPN Ki Jankari VPN Kya Hota Hai In Hindi

vpn kaise kaam karta hai vpn ka full form in hindi
Virtual Private Network Details in Urdu/Hindi

Virtual Private Network Information In Urdu


VPN ka full form Virtual Private Network hai. VPN  aik aisa network hota hai jo connectivity ke liye istemal kiya jata hai. VPN network public wires ko istemal karte hue banaya jata hai. Private organizations VPN istemal karti hain takay data transmission sirf unke employees ya phir sirf unke muntakhib kiye hue clients tak mehdood rahe. Asaan lafzon mein ye aik aisa system hai jisay private network k sath connect karne ke liye banaya jata hai bilkul usi tarah jesy kisi bhi idaray ka apna internal network hota hai. VPN Computer ki madad say taiyar kiya jata hai. Misal kay taur par agar koi bhi HTML website ko open karta hai to phr dusre network uske sath interfere nahi karenge.


VPN is baat ki yaqeen dahani karta hai kay sirf muntakhib kiye hue users he is network ko istemal kar sakte hain. VPN data transmission security ko bhi tight karta hai aur is baat ko yaqeeni banata hai kay bahir say koi bhi kisi bhi kisam ka data network mein dakhil na ho sake. Aaam taur par VPN banane ke liye Internet ko istemal kiya jata hai VPN aik secured mehfooz WAN (Wide Area Network) hota hai. Akhri had tak traffic encryption, virtual tunneling protocols point-to-point connection banane mein madad karte hain jo kay aik VPN ko banane ke liye zaroori hota hai. VPN banane kay baad aap koi bhi URL laga kar Internet Service Provider ki janib say blocked ya ban website ko open kar sakte hain.

Internet service Providers (ISP's) private organizations ko ye sahulat dete hain kay wo apna aik alag VPN bana sakte hain. Aik VPN mein jo protocols use hote hain un mein traffic tunneling, terminal point location of the tunnel, level of security, OSI layer presented to connect a network, and the characteristic of either site-to-site or network-to-network connection shamil hain. Kisi bhi website ko khulne par bahir ki traffic usko mutasir nahi karti jesy Google kholo ya koi aur site kholo bahir ki traffic apke VPN par nahi ayegi.

Security ka mechanism raazdaari sender ki authentication aur message integrity par hota hai. Virtual Private LAN Service (VLPS) VPN ka aik variant hai jo aisay masail ko hal karne mein madad deta hai jo VPN sahi tarah say nahin kar pata. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu