CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

CGPA Ka Matlab CGPA Ka Full Name


CGPA Full Form in Hindi/Urdu


CGPA Full Form in Hindi



CGPA ki full form Cumulative Grade Point Average hoti hai. CGPA aik grading system hai jo kay Schools, Colleges aur Universities mein students ki academic performance calculate karne ke liye istemal kiya jata hai. CGPA tamam subjects kay grade points ki final average deta hai jis mein additional subject shamil nahi hai lekin calculation ki scheme mukhtalif ho sakti hai CGPA point ke taur par 10 kay sath relation mein diya jata hai CGPA ki percentage value hasil karne ke liye CGPA ko 9.5 sey multiply kiya jata hai for example agar kisi student ka CGPA 9.2 hai to phir marks equivalent percentage (9.2X9.5=87.4) yani 87.4% banegi ye marks ki range par depend karta hai grade aur grade point ka tayyun kiya jata hai grades mein A1, A2, B1, B2, C1, C2, D, E1, aur E2 shamil hain. Sab sey high grade point wo hai jo A1 scoring ke sath hasil kare jo 10.0 banta hai jab kay lowest sab sey kam scoring D jo kay 4.0 banta hai CGPA ki based par higher studies ke liye student ko admission diya jata hai.
CGPA Cumulative Grade Point Average calculation ka aik aisa system hai jisky zariye students kay academic career mein grade points ki average ko find kiya jata hai. Grade point aam taur par kisi khaas waqt ke liye calculate kiya jta hai jaise middle school sey high school tak student ki performance check karne ke liye bohat sari universities mein CGPA undergraduate, graduate programs aur per semester subjects ke marks ki grading aur extra curricular activites kay grades bhi calculate kiye jate hain.Taham Course ke akhir mein tamam grades ko average obtain grade consider kiya jata hai jisy CGPA ya Cumulative Grade Point Average kaha jata hai.
Grading alphabetical form mein ki jat hai jo O, A, B, C, D, E, F jahan O ka matlab Outstanding, A ka matlab excellent, B ka matalab Very Good, C ka matlab Good, D ka matlab Average, E ka matlab Below Average aur F ka matlab Fail hota hai. Alphabetical representation mein marks ki range institue ke hisab sey mukhtalif ho sakti hai kuch ke liye O level 80-85 hota ya is sey upar hai jab kay kuch ke liye 90+ hai.
Taham jab hum average marks kehte hain to iska matlab hota hai 60 sey kam lekin 50 sey ziyada below average marks ki range 40-49 aur 40 sey kam marks failure samjhe jate hain grades ki Numerical representation bhi institutes ke hisab sey hoti hai kuch ke liye 7 point system hota hai jo 5-10 hai aur 0 fail jab kay dusry 1-7 jis k mutabiq 1 wala fail hota hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu