ITI Ka Full Form Kya Hai ITI Ki Jankari ITI Ki Full Form Hindi Me
ITI Ka Matlab Kya Hota Hai ITI Full Form in Hindi
Industrial Training Institute ITI Full Form in Hindi |
ITI Ki Puri Jankari
ITI ki full form Industrial Training Institute hai. ITI aik educational institute hai jo technical field kay students ko train karti hai. ITI students ko Fitter, Plumber, Welder, Mechanic, Electrical, Carpenter, Refrigeration & Air Conditioning ki fields mein training deti hai. ITI kay courses DGET Directorate General of Employment and Training aur Union Govt. of India sey authorized hote hain. Asal mein ITI India mein institutes kay groups ko represent karti hai industries mein manpower ki technical requirement ko pura karna ITIs ka maqsad hai.
ITI Courses Duration
ITI Courses ki duration mukhtalif hoti hai ye trade par depend karta hai ITI Course ki duration normally 1 year aur 3 years tak hoti hai. Koi bhi candidate complete karne ke baad job ko choose kar sakta hai jo ITI cadre ko suit karti hai ya phir diploma course ke sath continue kar sakte hain ya phir dusry short courses jaise ATI jisky zariye proficiency ko barhaya ja sakta hai. ITI Course complete karne ke baad candidates public sector, private sector aur government kay idaron mein kaam kar sakte hain jaise Railways, Army, Navy, Air Force etc.
Aaj kay daur mein Vocational training bohat aham hai aisy log jo higher education hasil nahi kar sakte lekin kaam karna chahte hain aur apni zindagi mein agay barhna chahte hain aisy log vocational courses kar sakte hain kyunki vocational traning mein bohat sari opportunities hoti hain. Country mein development barhany kay sath sath industries mein bhi izafa hota hai jo log rozgar ki talash mein hai ye courses aisy logon kay liye golden opportunity hai.
Aaj kay daur mein Vocational training bohat aham hai aisy log jo higher education hasil nahi kar sakte lekin kaam karna chahte hain aur apni zindagi mein agay barhna chahte hain aisy log vocational courses kar sakte hain kyunki vocational traning mein bohat sari opportunities hoti hain. Country mein development barhany kay sath sath industries mein bhi izafa hota hai jo log rozgar ki talash mein hai ye courses aisy logon kay liye golden opportunity hai.
Industrial Training Institute Kya Hai?
Candidate ko basic knowledge aur skills di jati hai jis sey wo matlooba trade mein operator aur technician ki job hasil kar sakta hai ITI ka course 1 saal sey le kar 3 saal tak ho sakta hai ye trade par depend karta hai. National Council for Vocational Training (NCVT) course ke end par test leti hai jisy All India Trade Test (AITT) kaha jata hai aur successful candidates ko National Trade Certificate award kiya jata hai. Ab candidates ke baad mazeed option ye hoti hai kay wo 1 ya 2 saal ki industrial traning hasil kare aur iske liye candidate ko National Apprenticeship Certificate (NCVT) kay test pass karna hota hai.
ITI Course Karne Ke Baad Career Opportunities
Ye baat yaad rakhen aap ne sahi course choose kiya hai jiski market mein demand hai to phir aap ko kafi jobs mil sakti hai lekin agar aap ne Market trend ko nahi dekha to phir jobs hasil karna apke liye mushkil ho sakta hai. Misaal kay taur par road par bohat sari vehicles chalti hain aur wo kharab bhi ho jati hain to inki maintenance ke liye demand har waqt rahe gi jisky liye course automobile ya auto mechanic ka hoga jisky baad kisi bhi bank sey loan le kar apna garage open kar sakte hain. Isi tarah electrician, computer technician ya electronics technician, welder, fitter/turner, plumber, air conditioning aur refrigeration service etc. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake.
Comments
Post a Comment