SAP Kya Hai SAP Ki Full Form SAP German Company Full Form SAP Meaning In Urdu

SAP Full Form in Software SAP ERP Full Name


SAP ERP Software Information in Urdu/Hindi


SAP Software in Hindi



SAP ki full form Systems Applications & Products hai SAP ko centralized database se refer kiya jata hai jo kay kisi bhi organization mein istemal hone wali mukhtalif applications ke liye common hai. SAP bunyadi taur par aik enterprise software hai jo kay organization ko mukhtalif applications jaise Finance, HR, Logistics wagera manage karne mein madad deta hai. SAP ka main function ye hai kay ye business kay tamam kaamon ko ikatha kar deta hai. SAP puri dunya mein sab sey ziyada popular ERP software hai. Jo company SAP business mein bohat famous hai uska name SAP SE hai. SAP ki mazeed detail aur puri jankari nechy batai ja rahi hai.

Introduction To SAP


SAP ko German language mein Systemanalyse und Programmnetwiclkung bhi kaha jata hai SAP aik multinational company hai jo kay Germany mein hai. Ye aik software company hai jo kay business ki management aur customer relations kay softwares bhi banati hai. SAP ki corporation Walldorf, Baden-Württemberg, Germany mein waqiya hai. SAP kay regional offices 130 countries mein hai ye company 293,500 customers ko 190 countries mein serve kar rahi hai. SAP Euro Stoxx 50 stock market index mein bhi shamil hai. 1975 mein is company Xerox ne Computer market se nikalne ka faisla kiya jab unhon ne aisa karne ka faisla kiya to phir IBM sey mashwara kiya aur unhen apne systems ko IBM technology mein shamil karne ko kaha iskay mawazy ke badly mein IBM ko Scientific Data Systems (SDS) ya SAPE software ke rights diye gaye.
Dietmar Hopp, Hans-Werner Hector, Klaus Tschira, Claus Wellenreuther aur Hasso Plattner IBM kay 5 engineers thy jo kay AI (Artificial Intelligence) department se taluq rakhte thy aur enterprise wide system sey taluq rakhte thy jinhen baad mein kaha gaya kay company ko unki zarorat nahi hai unhon ne project par kaam karne ki bajaye company ko chorne ka faisla kiya aur apni company start karne ka faisla kiya. 1970 mein team ne Systemanalyse und Programmentwicklung German Civil Code kay teht partnership kay taur par shuru kiya Ostringen mein German branch is nayi company ki pehli client thi. Company punch cards par mechanical ki bunyad par storage data dene ki bajaye accounting aur payroll ke liye mainframe banati thi. Ye pehla version tha jo kay standalone software ke taur par bhi diya gaya tha jo kay dusri interested parties ko diya ja sakta tha.


SAP Cloud Computing


SAP ne 2012 mein cloud based services aur products par kaam karna shuru kar diya ye dusri bohat sari companies jo kay cloud based services aur products sale karti thi unky saath agreements hasil kiye. In agreements ko hasil karna market mein majood Oracle ko challange karna tha saal 2014 mein company ne Concur Technologies ko hasil kiya jo kay 8.3 billion $ value ki cloud based expense management aur travel company thi. Ye SAP ki sab sey mehngi purchase thi. 2014 mein SAP aur IBM ne cloud based products aur services ko sale karne ke liye partnership ki IBM ne SAP ko infrastructure ki services provide ki SAP ne apna cloud solution SAP HANA ko top par rakha iski wajah sey dono companies ko boost hone mein madad mili.
SAP ne announce kiya kay wo computer giant Microsoft Corporation kay sath customers ke liye available tools, data visualization aur mobile applications k maqsad ke liye kaam karna chahti hai. SAP ka cloud computing sector aur dusri companies ke sath partnership ki wajah sey SAP ka revenue kafi had tak barha SAP market mein sab sey tough competitor hai SAP ki sab sey bari competitor Oracle Corporation hai jo kay software company hai. SAP software manufacturing, warehousing, industrial software, logistics software marketing, sales software, customer relationship management aur supply chain management mein bhi hisa leti hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi