HSC Kya Hai HSC Ka Full Form HSC Exam Full Form in Hindi

What Is HSC in Education HSC Ki Full Form


HSC Exam Information Higher Seconary Certificate


HSC Course Details



HSC ki full form Higher Secondary Certificate hai HSC aik course completion certificate hai jo student ko India mein secondary education yani 12th grade pass karne par diya jata hai. Dusry lafzon mein student ko HSC hasil karne k liye 12th board examination minimum percentage ke sath pass karna zarori hota hai. Higher Secondary Examination Physics, Chemistry, Mathematics, Biology, Accounting, Geography, History jaise subjects mein liya jata hai. Har student ki score uski performance par depend karti hai aur isay dusry candidates ke sath rank nahi kiya jata hai HSC ka maqsad students ko higher studies ya phir jobs ke liye eligible banana hai kyun ki HSC ki report mein student ki ability, eligibility aur uski achievements ko bayan kiya jata hai.



HSC public examination ko board examination bhi kaha jata hai jo kay junior college ya intermediate college mein parhne waly students dety hain. Ye exam HSC ya Higher Secondary Certificate kehlata hai India mein bohat saray education boards hain jaise kay state boards aur CBSE etc. Tamam boards ka examination structure mukhtalif hota hai aur ye subjective exams par mushtamil hota hai. SSLC mein HSC higher secondary exam pass karne ke baad hasil kiya ja sakta hai. India mein isay 12th board exam jana jata hai ye exam students academic year ke akhir mein dete hain. Boards mein subjects ke numbers grading ka tarika har board ke lehaz sey mukhtalif hota hai. Undergraduate courses karne ya phir higher education hasil karne ke liye HSC clear karna zarori hota hai.

India ki mukhtalif states mein higher education exam ko intermediate exam mana jata hai. Misaal kay taur par Uttar Pradesh, Andhra Pradesh, Telangana aur Bihar etc. State education board ye exam state level par karwate hain jab kay CBSE yehi exam national level par karwata hai. Ye exam saal mein 1 baar hote hain. Jis fileds mein exams karwaye jate hain un mein computer science, information technology, chemistry, classical music, social studies, electronics, math aur physics shamil hain. Result announcement April kay month mein ki jati hai aur ye July tak chalti rehti hai. CBSE 12th class board ka exams May mein announce kiye jate hain. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu