DELL Full Form in Computer DELL Kaha Ki Company Hai DELL Ki Full Form in Hindi

DELL Ka Full Form DELL Full Form Name


DELL Computer Company Details in Hindi/Urdu

DELL History in Hindi



DELL ka name Dell company kay founder Mr. Michael Dell sey bana hai. DELL aik private American company hai jo kay Round Rock, Texas, United States mein waqiya hai. DELL company multinational Computer technology enterprise hai jo kay development, sale, refurbishment aur computers ki assistant aur dusri services aur products ke sath shuru hui thi. Company ka name isky founder Michael Dell kay naam sey munsalik hai jisne company ko duniya ki sab sey bari technological corporations mein sey aik corporation banaya.



DELL personal computers, data storage devices, servers, network switches, computer peripherals, software, cameras, HDTVs, Monitors, LCD, LED Monitor, MP3 players, printers aur dusri electronics manufacturer karti hai. DELL electronic commerce aur supply chain management khas taur par direct sales model aur configure to order methodology jo kay personal computers jo kay customer specifications ke mutabiq banaya jat hai is mein bohat famous hai. DELL company hardware vendor kay taur par shuru hui thi lekin baad mein IT Market mein enter ho gai jab isay Perot Systems ne 2009 mein khareed liya tab se le kar aaj tak DELL ne kafi companies khareedi hain.


DELL ko 1984 mein jab founder Michael Dell ne DELL Corporation banayi thi jisy PC's Limited kay naam sey jana jata tha. 1985 mein DELL ne pehli bar apna computer banaya jo khalis taur par DELL ne he design kiya tha jiska name Turbo PC's tha. PC's Limited ne apne computer systems mein mukhtalif magazines ki advertising shuru kar di company ne pehle saal mein bohat ziyada paise kamaye 1987 mein company ko DELL Computer Corporation kay naam sey tabdeel kar diya gaya aur isay international level par shuru kar diya gaya saal 2014 mein DELL ko Fortune 500 list mein 51st position par rakha gaya aur saal 2015 mein DELL personal computer banane wali duniya ki teesri bari company ban gai DELL sey HP aur Lenovo ki technology company ati hai.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu