CAT Kya Hota Hai CAT Exam Full Form CAT Test Full Form in Hindi

CAT Ka Full Form CAT Ki Full Form


CAT Test Examination Information


CAT Ki Jankari CAT EXAM IN HINDI




CAT ki full form Common Admission Test hai CAT aik Computer based examination hota hai. CAT exam students ko mukhtalif post-graduate programs aur business administration aur management mein admission hasil karne ke liye dena hota hai. CAT exam Indian Institute of Management organize karti hai. CAT exam bunyadi taur par reading comprehension, verbal ability, quantitative skills, data interpretation aur student ki logical reasoning ko test karta hai. CAT exam students ko India ki mukhtalif management institutes mein jaise IIMS aur Non-IIMs mein admission hasil karne mein madad deta hai. 2009 tak CAT exam aik paper par hone wala exam tha test ki duration, questions ka pattern aur test ki length ko pichly kai saalon sey tabdeel kiya ja raha hai. 2009 mein CAT ko computer based exam announced kar diya gaya tha candidates ko institutes mein admission hasil karne ke lyie CAT score, group discussion, work experience, interview aur written assessments ko dekha jata hai isky ilawa aik acha CGPA bhi admission hasil karne ke liye require hota hai.


CAT Test/Exam Information




CAT Test India mein har saal aik bar hota hai jisky baad eligible candidates ko management programs jaise MBA mein admission hasil karne ke liye select kiya jata hai. Ye test CAT ya Common Admission Test kehlata hai. Ye exam tamam IIMs ki taraf sey liya jata hai. CAT Test mein students ki logical reasoning, verbal abiity, data interpretation, analytical reasoning, reading comprehension, data sufficiency aur quantitative aptitude jaisi skills ko check kiya jata hai. CAT test mein hasil kiya hua score sirf 1 saal tak hota hai aur ye aam taur par November ke month mein hota hai. CAT exam India mein 300 centers mein 90 towns aur cities mein liya jata hai. CAT exam ki fee taqreeban 1600 Indian Rupees hoti hai.


Eligibility for CAT Test/Exam



CAT test mein appear hone ke liye candidate ka criteria ke under ana zarori hai CAT exam ke liye candidate ka recognized aur authentic college ya university sey graduate hona zaroori hai. Student ka kam se kam 50 percent marks hona bhi zarori hai. Aisy students jo graduation ke final year mein hoon wo bhi apply kar sakte hain. CAT test ke liye age ki koi limit nahi.


CAT Exam Pattern and CAT Test Duration



CAT Exam ko 3 sections mein divide kiya jata hai pehla section QA yani Quantitative Aptitude ka hota hai jis mein 34 questions hote hain. 2nd section logical reasoning aur data interpretation ka hota hai jis mein 32 questions hote hain akhri section mein VRC verbal aur reading comprehension hota hai jis mein 34 questions hote hain. Candidates ko test hal karne ke liye 180 minutes ka waqt diya jata hai. Total questions mein sey 100 questions ko solve karna zarori hota hai.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

OTG Ki Full Form OTG Full Form In Hindi What Is The Full Form Of OTG Cable