GMail Full Form In Hindi GMail Ka Matlab GMail Meaning In Urdu
What Is Full Form Of GMail GMail Full Meaning GMail Full Form In Hindi
What is Full Form of GMail Full Form in Hindi |
Full Form Of GMail And Email
GMail ki full form Google
Mail hai GMail sab logon kay liye free aur advertising par mushtamil email
service platform hai jo kay Google Inc. ki taraf sey provide ki jati hai.
Users GMail ko secure webmail ki sorat mein aur IMAP4 ya POP3 protocolos kay
zariye use kar sakte hain. 1 April 2004 mein GMail sirf invitation only service
thi yani jisy invite kay zariye he istemal kiya jata tha aur isay public kay
use kay liye 7 February 2007 mein open kiya gaya lekin us waqt beta status mein
tha. 7 July 2009 ko Mail service ko dusri Google Application kay sath beta
status sey upgrade kar diya. Starting mein GMail 1 GB ki storage supported
karti thi yani Google Mail account kay sath apko sirf 1 GB Data diya jata tha
lekin ahista ahista is storage ko dusri companies Hotmail aur Yahoo kay sath
competition ki wajah sey barha diya gaya.
2016 mein GMail 1 billion
active users kay sath sab sey zyada istemal hone wali Email service ban gai.
2014 year mein andazy kay mutabiq 60% Medium size ki American companies GMail
istemal kar rahi thin. Google Play Store mein sirf GMail he ek aisi app thi jo
Android devices mein 1 billion downloads ko cross chuki thi. Google ne child pronography kay khilaf
campaing mein bhi hissa liya aur National Center for Missing and Exploited
Children (NCMEC) kay sath mil kar puri dunya mein aisy bachon ko dhondne ki
irada kiya.
GMail har browser par kaam
karta hai iska naya Modern-day AJAX version is waqt market mein majood tamam
major browsers jaise Google Chrome, Mozilla Firefox, Apple Safari aur Internet
Explorer sab par kaam karta hai. GMail Windows par bhi chalta hai aur Linux or
Macintosh par bhi GMail ki useful apps available hain. GMail ki mobile devices
aur tablets kay bhi apps hain jin mein Android, iOS aur Windows Phone ki apps
shamil hain. Mobile mein GMail use karne kay liye mobile web browser ka XHTML
ko support karna lazmi hai aur network Cookies aur SSL traffic ko bhi accept
karta ho. Post pasand aane par thank box mein click karen aur logon ke sath information share karen.
Comments
Post a Comment