BUMS Full Form In Hindi BUMS Full Form In Medical Bachelor Of Unani Medicine And Surgery
BUMS Full Form In Urdu BUMS Kya Hai BUMS Ka Full Form
Kya Aap bhi Internet Se Paise Kamana chahte ho? Domain konsa buy karen aur hosting kis company ki lain Website bana kar us say paise kis tarah kamaye? Internet Ki duniya mein SEO karke Google mein apni website ko sab se upar top kaise laye videos bana kar YouTube se paise kaise kamaye jate hain? ye sari molmat lene ke liye aur mazeed jankari ke liye aap mere sath WhatsApp par bhi rabta kar sakte hain. Blogger, SEO Expert, Digital Marketer, Website Developer, Website Designer Salman Moazzam 👉 +923436002946, 03346424709
BUMS Course in Medical Details in Hindi/Urdu |
BUMS Meaning In Hindi
BUMS ki full form Bachelor of Unani Medicine and Surgery hai. BUMS ek undergraduate degree programme hai jis mein Unani medicine aur surgery kay baray mein study ki jati hai. Unani medicine puranay zamanay mein ilaj karne ka ek system tha jo Middle-East aur South Asian countries mein paya jata tha. Unani medicine mein artificial tariko aur machines ki bajaye natural jari botiyon sey kisi bhi bimari ka ilaj kiya jata hai jisay Arabic aur Urdu language mein Hikmat kay naam sey bhi jana jata hai. Jo log Unani medicine ya surgery kay raaz janna chahte hain aur is field mein professional work karna chahte hain wo Bachelor of Unani Medicine and Surgery ka course kar sakte hain.
Unani Medicine and Surgery course ki duration MBBS sey kam nahin balkay zyada hai BUMS ki degree 5.5 yani saray 5 saal ka course finish karne kay baad award ki jati hai jis mein 4.5 saray 4 saal ka academic session hota hai aur 1 saal ki internship shamil hoti hai. Unani Medicine aur Surgery course distance education system kay zariye bhi kiya ja sakta hai. BUMS mein admission lenay kay liye apki qualification 12th pass with 50% marks honi chahiye aur jo candidate BUMS course karna chahta hai wo Science background kay saath ho jisny Biology, Chemistry aur Physics parhi hui hai. Aisy students jinki Urdu Language bohat achi hai ya phir unhon ney 12th class mein Urdu subject rakha tha aisy candidates ko prefer kiya jata hai.
Central Council of Indian Medicine (CCIM) India mein Unani education ko regulate ya control karti hai. India mein sirf 35 institutions hain jo Bachelor of Unani Medicine and Surgery kay courses karwa rahi hain. BUMS mein sikhai jane wali important ye hain.
- Venesection
- Massage
- Turkish Bath
- Cupping
- Regimental Therapy
- Purging
- Leeching
- Surgery
BUMS course karne walay ko bohat sari proffesional oppturienits mil sakti hain jin mein Pharmacist, Therapist, Scientist, Spa Director, Public Health Specialist aur Consultant ki opportunities shamil hain.
Comments
Post a Comment