GMail Full Form In Hindi GMail Ka Matlab GMail Meaning In Urdu

What Is Full Form Of GMail GMail Full Meaning GMail Full Form In Hindi


What is Full Form of GMail Full Form in Hindi

Full Form Of GMail And Email




GMail ki full form Google Mail hai GMail sab logon kay liye free aur advertising par mushtamil email service platform hai jo kay Google Inc. ki taraf sey provide ki jati hai. Users GMail ko secure webmail ki sorat mein aur IMAP4 ya POP3 protocolos kay zariye use kar sakte hain. 1 April 2004 mein GMail sirf invitation only service thi yani jisy invite kay zariye he istemal kiya jata tha aur isay public kay use kay liye 7 February 2007 mein open kiya gaya lekin us waqt beta status mein tha. 7 July 2009 ko Mail service ko dusri Google Application kay sath beta status sey upgrade kar diya. Starting mein GMail 1 GB ki storage supported karti thi yani Google Mail account kay sath apko sirf 1 GB Data diya jata tha lekin ahista ahista is storage ko dusri companies Hotmail aur Yahoo kay sath competition ki wajah sey barha diya gaya.


2016 mein GMail 1 billion active users kay sath sab sey zyada istemal hone wali Email service ban gai. 2014 year mein andazy kay mutabiq 60% Medium size ki American companies GMail istemal kar rahi thin. Google Play Store mein sirf GMail he ek aisi app thi jo Android devices mein 1 billion downloads ko cross chuki thi.  Google ne child pronography kay khilaf campaing mein bhi hissa liya aur National Center for Missing and Exploited Children (NCMEC) kay sath mil kar puri dunya mein aisy bachon ko dhondne ki irada kiya.



GMail har browser par kaam karta hai iska naya Modern-day AJAX version is waqt market mein majood tamam major browsers jaise Google Chrome, Mozilla Firefox, Apple Safari aur Internet Explorer sab par kaam karta hai. GMail Windows par bhi chalta hai aur Linux or Macintosh par bhi GMail ki useful apps available hain. GMail ki mobile devices aur tablets kay bhi apps hain jin mein Android, iOS aur Windows Phone ki apps shamil hain. Mobile mein GMail use karne kay liye mobile web browser ka XHTML ko support karna lazmi hai aur network Cookies aur SSL traffic ko bhi accept karta ho. Post pasand aane par thank box mein click karen aur logon ke sath information share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu