RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu

RTGS Ka Full Name RTGS Meaning In Urdu

Real Time Gross Settlement Information System In Hindi/Urdu

RTGS ki full form Real Time Gross Settlement hai. RTGS aik system hai jo individuals aur companies ko kisi country mein 2 banks ke darmiyan funds transfer karne ki sahulat deta hai.

Ye settle funds individually order ki bunyad par hote hain. Aur ye aam taur par ziyada amounts ke liye aur high-value transfers ke liye istemal hota hai. Real Time ka matlab hai jab instructions milti hain to unko usi waqt process kiya jata hai instructions ko excute karne ke liye aur transactions karne ke liye intezaar nahin karna parta.

Gross Settlement Full Form


Gross Settlement ka matlab hai funds ki instructions ki bunyad par individual settlement yahan transactions ko dusri instructions ke sath nahi rakha jata hai aur usi waqt settle kar diya jata hai jab insturctions receive hoti hain. Funds hasil karne wala bank aam taur par settlement ko mutaliqa bank mein 30 mein settlement kar deta hai.

Kya RTGS Ke Zariye Ki Gayi Payment Ko Recover Kiya Ja Sakta Hai?


RTGS ke zariye ki gayi payments final hoti hain aur inhein recover nahi kiya ja sakta kyon ki funds ki settlement RBI (Reserve Bank of India) mein enter kar di jati hai.

RTGS Transaction Charges/Fee


Agar transfer ki jane wali amount 2 aur 5 lakh ke darmiyan ho to service charges Rs.25 hote hain jis mein additional service tax shamil hai. Agar transfer ki jane wali amount 5 lakh sey upar hai to phir transaction charges 50 INR hote hain jis mein additional service tax shamil hai.
RTGS system ko riwayati taur par bari amounts ke liye istemal kiya jata hai. RTGS system ke zariye kam az kam 2 lakh ki amount remitted ho sakti hai.

RTGS System Mein Remmitance Ki Maxiumum Amounti Kitni Hai?

RTGS system ke zariye amount transfer karne ki koi maxiumu limit nahi hai.

RTGS Transaction Time

RTGS system ke opearting hours subah 8 bajay se le kar dopehar 4:30 bajay tak hai.

RTGS System Use Karne Ke Liye Konsi Information Chahiye Hoti Hai?


RTGS System ke zariye payment karne ke liye darjzail information hona zarori hai.

Beneficary ka name aur uska account number

Bank ka naam jahan par beneficary ka account hai

IFSC Brank ka code jahan par beneficary ka account hai

Kitni amount remitt karni hai.

RTGS System Use Karne Ke Benefits/Advantages


RTGS system mein settlement usi waqt ho jati hai jab transaction hoti hai. RTGS ko funds transfer karne ke liye taiz tareen aur mehfooz tareen samjha jata hai. Aam taur par RTGS system ko kisi bhi country ka central bank operate karta hai kyon ki ye economy ka eham infrastructure hota hai. RTGS ki growth ki wajah sey World Bank 100 sey ziyada countries ke RTGS system ko kafi support karta hai. Tamam system ko international standards aur best practices ke sath design kiya gaya aur banaya gaya. Kya aap jante hain kay aap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

OTG Ki Full Form OTG Full Form In Hindi What Is The Full Form Of OTG Cable