B.Ed Exam Pattern 2018 How To Prepare For CET Exam 2018 B.Ed Entrance Exam Preparation

B.Ed Exam Pattern How To Prepare For Bed Entrance Exam


B.Ed Bachelor of Education Entrance Exam Pattern & Preparation Tips

B.Ed Entrance Exam Pattern and Preparation In Hindi



CET examination papers ko 3 parts mein divide kiya jata hai pehle part mein general English aur 25 questions shamil hote hain. Second part mein general knowledge aur teaching aptitude jis mein biltarteeb 15 aur 10 questions shamil hote hain. Last part mein student ne diye gaye subjects mein sey kisi aik subject ko choose karna hota hai un subjects mein English, Math, Physics, Biological Science, Zoology, Botany, Chemistry, Geography, Civics, Economics, History, aur Social Studies shamil hai.
Last part mein select kiye gaye subject exam ko mutasir nahi karte kyon ki tamam candidates ke liye first aur second part ko attempt karna zarori hota hai. Objective type ke questions paper mein diye jate hain. CET exam ke liye application forms directly office mein ya phir online submit karwaye ja sakte hain. Candidate exam ke liye Hindi ya English language ko choose kar sakta hai.

B.Ed Examination Preparation In Hindi/Urdu

B.Ed ke test kay 1st part mein candidate ki English language skills ko test kiya jata hai. First part mein tenses, voices, synonyms, sentence correction etc. shamil hota hai iss section mein pass hone ke liye English language ki basic book ki study karni chahiye. Candidate ko online mock test ke zariye khud ko test zaror karna chahiye jiski wajah sey usay iss section mein pass hone ke liye madad milegi. Second section mein candidate ki current events, general politics aur geography ke hawaley sey knowledge test ki jati hai. 2nd section mein candidate ki basic teaching skills bhi test ki jati hai. 2nd section mein pass hone ke liye aapko daily newspaper read karna chahiye iske ilawa market mein mukhtalif books hain jo teaching talent mein help karti hain. 2nd section ke liye ye kafi madad gar sabit ho sakti hain.
Last section ke liye syllabus ko sahi tarike sey samjhna chahiye iske liye candidates ko chahiye k wo CET exam ke past papers ko bhi dekhen jin sey unki kafi help ho sakti hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu