B.Ed Ka Full Form Kya Hoga B Ed Degree Duration Bed Ki Full Form B.Ed Course Details In Hindi

B.Ed Ki Jankari In Hindi B.Ed Ki Full Form Kya Hai B.Ed Degree Full Form


B.Ed Degree Program Course Details

Bachelor Of Education Course Duration In India


B.Ed ya BEd ka full form Bachelor of Education hai. India mein kafi universities hain jo ye degree aisay logon ko offer kar rahi hain jo teaching mein apna career banana chahte hain. Iss degree program ko B.Ed ya Bachelor of Education kaha jata hai. B.Ed bunyadi taur par aik professional course hai. B.Ed course ki duration 2 saal tak ho sakti hai. Kafi universities ye course distance learning system ke zariye bhi karwa rahi hain. Aisy courses ki duration 2 saal sey le kar 5 saal tak hai. B.Ed degree program ka ye course classroom teaching ki traning dene ke liye design kiya gaya hai.
Art Graduate students ko is field mein jo subjects sikhaye jate hain un mein English, Geography aur History waghera shamil hai. Science graduating students jo is degree course ko join karte hain unhein Biology, Physics, Chemistry jesy subjects sikhaye jate hain. Jo students B.Ed course mein admission lete hain unhen classroom ki practical training di jati hai aur ye bhi bataya jata hai kay classroom mein students ko kesy handle karna hai.

B.Ed Degree Program Eligibility Bachelor of Education Course


Jo students B.Ed mein mein admission lena chahte hain unhen eligibility criteria sey guzarna parta hai. B.Ed course mein admission lene ke liye students ke pass B.Com (Bachelor of Commerce) ya phir B.Sc (Bachelor of Science) ya phir B.A (Bachelor of Arts) ki degree hona lazmi hai. Ye degrees recognized university ya phir board ki janib sey awarded honi chahiye aur student ki degree mein marks ki percentage kam az kam 50% honi chahiye. B.Ed course karne ke liye mukhtalif independent bodies of education, colleges aur universities entrance exam leti hain. Students in educational bodies exams mein apne ranks ke mutabiq admission lete hain. Ye exams aam taur par June ya phir July k mahine mein hote hain. Exams ka result August ke mahine mein announce kar diya jata hai. Degree programs ke doran theoretical classes mein izafa karne ke liye ample practical courses bhi muhaiya kiye jate hain.


Entrance Exam for B.Ed Course Admission



B.Ed degree program mein admission lene ke liye jo main entrance exam liya jata hai wo B.Ed CET hai. Ye entrance exam B.Ed degree program mein eligible candidates ki selection karne ke liye istemal kiya jata hai. B.Ed CET entrance exam poray India mein allotted centers mein liya jata hai. Wo log jo B.Ed CET exam mein appear hona chahte hain unke liye kuch criteria hai. Jis student ke pass koi teaching experience nahi hai lekin uske pass kam az kam graduate degree hona zarori hai jo kisi authentic aur recognized university ki taraf sey awarded ho. General category students ki percentage graduation mein kam az kam 50% honi chahiye.
Aisa candidate jo pehle kahin teaching kar chuka hai uske pass kam az kam 2 saal ka teaching experience hona zarori hai. Experience ke liye experience certificate dikhana bhi zarori hota hai aur jo serivce candidate ne di hai wo reputed school mein full-time ke liye hona bhi zarori hai. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

OTG Ki Full Form OTG Full Form In Hindi What Is The Full Form Of OTG Cable