PAN Card Kya Hota Hai PAN Card Full Form In Hindi PAN Card Ki Jankari Hindi Me

PAN Card Ki Full Form PAN Card Ka Matlab Kya Hai

PAN Card Information In Urdu/Hindi PAN Card Details

Pan Card Meaning In Urdu


PAN Card ki full form Permanent Account Number hai. PAN aik 10 digit code hai jo India ke har citizen yani har shehri ke liye generate kiya jata hai. PAN Card Indians ki identity karne ke liye ahem hai khaas taur par un logon ke liye jo Income Tax pay karte hain. PAN aik khaas code hota hai jis mein 10 character identifier hota hai jo alphanumeric code hota hai yani is code mein ABC aur 123 bhi shamil hoti hai.
Ye code un idaron ko issue kiya jata hai jo Income Tax Act 1961 mein aate hain. India ka Income Tax Department Central Board of Direct Taxes ke under PAN card issue karta hai. PAN card identification karne ke liye ek eham proof hai. PAN card foregin nationals ko bhi issue kiya jata hai jaise kay Investors lekin ye issuance visa regulations ke liye hoti hai isliye aisy logon ke liye ye Indian citizenship kay proof kay taur par kaam nahi karta.

Importance of PAN Card


PAN card bohat important hai kyon ki ye financial transactions jesy bank mein new account open karwana, professional fees ki recipe, taxable salary, purchase of assets etc. khaas taur par high-value ki transactions ke liye zaroori hai. PAN card ka asal maqsad financial transactions ki identification karna aur financial transactions par nazar rakhna khaas taur par aisay logon ki jinki bohat high net worth hai aur jo bohat ameer log hain aur jinka India ki economy par gehra asar hai is tarah mulk ko Tax chori sey bachana PAN card ka maqsad hai.
PAN card isliye important hai kyon ki ye tamam bari financial transactions karne ke liye zarori hota hai chahe aap apna new bank account open karwana chahte hain ya phir business goods ki buying aur selling karte hain. Ye kisi bhi kisam ki Tax chori ko bachata hai kyon ki ye high-value transactions ke liye lazmi hota hai chahe monthly salary transfer karni ho ya phir personal business sey profit ho.

PAN Card Kaise Banwaye In Hindi PAN Card Kaise Banta Hai In Hindi



PAN card Income Tax Department of India ki taraf sey issue kiya jata hai. Jis tarah passport ke liye apply kiya jata hai isi tarah apni marzi ke mutabiq PAN card ke liye apply kiya ja sakta hai. PAN Card hasil karne ke liye aap ko aik form fill karna parta hai jo online internet par available hai Form download karne ke baad fill karke usay NSDL ke office mein identity proof aur apne recent photograph ke sath bhej dain.
Unique PAN Number ke liye maximum 1 maheena lag sakta hai jiske baad generated PAN number apke ghar par bhej diya jata hai. PAN number holder ke liye unique hota hai aur ye country mein puri life ke liye kaam karta hai. Jab aap ko PAN card mil jaye to aap isay apni puri zindagi mein istemal kar sakte hain chahe aap apni jagah ya address badal lain lekin PAN same rahe ga. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu