STD Ki Full Form Kya Hai STD Ka Matlab Kya Hota Hai STD Full Form In Hindi

STD Full Form Ki Jankari In Hindi/Urdu

STD Ki Full Form Kya Hai STD ISD PCO Ka Full Form

STD ki full form Subscriber Trunk Dialing ya phir Subscriber Toll Dialing hai. ISD ki full form International Subscriber Dialing hai. PCO ki full form Public Call Office hai. STD telephonic system ki aik type hai jo users ko independently kisi operator ki madad ke baghair trunk calls karne ki ijazat deti hai. Ye term is technology aur mobile usage ke daur mein taqreeban khatam ho chuki hai iske bawajood STD door ke faslay par directly call karne ke liye use hota tha. STD term aam taur par Ireland, United Kingdom, Australia, India, South East Asia mein istemal hoti hai. USA jesi countries mein STD term ko Direct Distance Dialing kaha jata hai. STD aane ke baad individual STD code jo kay har city k liye mukhtalif hota hai aur city name ke sath represent karta hai.
Mobile Phones ke introduction ke baad log country ki mukhtalif states mein baghair kisi STD code ya prefix k call kar sakte thy. Aksar zero istemal kiya jata hai aur ye country ke lehaz sey mukhtalif hota hai. Telecommunication mein pichle kai saalon sey bohat tarqi hui hai. Ab har shakhs chahe wo kisi dusri city mein rehta ho ya kisi dusri country mein rehta ho telephone number ke sath sirf us city ya country ka code mila kar us shakhs sey rabta qaim kiya ja sakta hai. Ye code Subscriber Trunk Code kehlata hai. Pehle zamane mein jab koi shakhs kisi dusry shakhs ke sath telephone par rabta karna chahta tha jo dusri city ya country mein rehta ho us waqt 2 lines ko connect karne ke liye exchange mein bethe hue operator ki zarorat parti thi.
Telephone ke zariye us shakhs ke sath directly baat karne ki sahulat nahi hoti thi aur operator ke zariye baat karne ke liye ghanton intezar karna parta tha jab tak 2 exchanges ke sath connection na ho jata tha tab tak baat karna mumkin nahi tha exchanges ki lines apas mein milne baad wo line phir apko transfer ki jati thi. Aap ko local exchange mein call dial karna parti thi jahan par telephone operator usay receive kar sake jise Trunk Assistance kaha jata hai. Operator phir us person ka number note down karta hai jiske sath aap baat karne chahte aur jis jagah baat karna chahte hoon us location ka bhi puchta tha. Uske baad operator inter-telephone exchange destination exchange ke sath connection banata tha.
Desired call number ko operator dusri taraf pass karne par operator aap ko desired person ke sath connect kar deta tha. Ye aik lamba process tha aur har 3 minute baad operator call cut kar deta tha aur inform karta tha ke time khatam ho gaya hai aur agar aap mazeed baat karna chahte hain to phir aap ko operator ko kehna hoga ke duration ko barhaye otherwise call 3 minute baad cut ho jati thi. Kya aap jante hain kay aap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu