PGDCA Ki Jankari PGDCA Ka Full Form Hindi Me PGDCA Ki Full Form In Hindi

Post Graduate Diploma In Computer Application Course


PGDCA Course Details In Hindi

PGDCA Full Form In Hindi

PGDCA ki full form Post Graduate Diploma in Computer Application hai. PGDCA course mein programming languages jesy C++, Java aur dusry mukhtalif packages jaise Oracle-VB, Office web design, Tally, MS-Dos Windows OS, Data processing, system analysis aur iske ilawa programming languages shamil hain. PGDCA aik saal ka course hota hai jis mein 2 semester shamil hote hain. India ki kisi bhi university sey graduate karne walay log PGDCA course join kar sakte hain. Aik student jo PGDCA complete kar leta hai wo IT Firms, banking industry, entertainment sectors, research films, health industry etc. mein job le sakta hai.
PGDCA mein mukhtalif posts hain jin mein data entry worker, data analyst, database manager, application developer, IT Support technician, IT manager, game developer aur iske ilawa candidate ke experience par bhi depend karta hai. PGDCA course diploma level par Computer science ki field hai. PGDCA aisy students ke liye perfect course hai jo computer applications mein apna career banana chahte hain. PGDCA course ki study ka asal maqsad students ko computer science ke mukhtalif areas ka istemal sikhana jaise Accounting, Banking, Insurance etc. iski wajah sey students ko professional skills aur computer applications ke baray mein knowledge milta hai.
PGDCA course ki duration 1 saal tak hoti hai. Students graduation karne ke baad Post Graduate Diploma in Computer Applications mein admission le sakte hain. PGDCA program computer science mein specialization aur communication ki development, technical skills aur professional skills sikhane ke liye design kiya gaya hai. Is program mein di jane wali training students ko future mein information technology professionals banne mein madad deti hai.

Eligibility and Admission Criteria for PGDCA Course


PGDCA course mein admission lene ki requirments aur PGDCA course har institution aur university ke liye mukhtalif hote hain. Aisy candidates jo diploma degrees rakhte hain wo is degree ke study programs mein admission lene ke liye eligible ho jate hain. Graduates ke liye bhi yehi rule hai. Kuch aisi universities hain jin mein bachelor degree mein kam az kam 50 percent marks ki zaroorat hoti hai. Iski aik misaal Pune University hai.
Har institution ya university ki PGDCA course ke liye alag portal hoti hai jahan wo PGDCA offer karti hai. Candidates eligibility requirements puri karne ke baad pasandeda university course degree mein in portals ke zariye apply kar sakte hain. Candidates ko phir interview ke liye shortlist kiya jata hai aur phir specific date mein interview ke liye bulaya jata hai. Phir candidates ko qualifying exam mein marks ke hisab sort out kiya jata hai. Unhen interview process ke doran essential documents jaise transfer certificate, marks list, contact certificate etc. ki zaroorat hoti hai. Aisy log jo in qualifications par satisfy ho jate hain unhein PGDCA study program mein admission diya jata hai. Kya aap jante hain kay aap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi