What Is IBPS Exam Means IBPS Full Form In Hindi

IBPS Kya Hota Hai IBPS Full Form In Hindi


IBPS Course Information IBPS Full Detail In Hindi

Full Form Of IBPS In Banking Sector





IBPS ki full form Institue of Banking Personnel Selection hai. IBPS bunyadi taur par India ki aik khud mukhtar institute hai. IBPS India mein 1975 mein shuru hui thi us waqt iska naam Personnel Selection Services tha aur iski abbreviation PSS thi. 1984 mein is institue ko Reserve Bank of India (RBI) aur Public Sector Banks (PSB) ki support sey independent entity bana diya gaya. Institue ka asal maqsad Human Resources (HR) mein development karna aur personnel assessment ke zariye help karna hai 2011 mein IBPS ne aik official announcement ki jis mein kaha gaya kay Indian banks mein clerks aur officers ki recruitment ke liye Common Written Examination (CWE) hoga.




Ab jo bhi candidate rural banks (RRBs) ya phir public sectors bank mein naukri hasil karna chahta hai usay CWE examination dena zaroori hai. CWE examination clear kar lene kay baad selection ke liye interview bhi liya jata hai. Common Written Examination (CWE) aisay logon kay liye bohat ahem hai jo 29 regional rural banks aur public sectors banks mein jobs hasil karna chahte hain waqt kay sath sath CWE ka exam difficul banaya ja raha hai aur ab CWE ka exam India mein sab sey mushkil exam samjha jata hai. CWE mein students ki selection ratio 1 sey 1000 students tak hoti hai jo ke bohat mushkil hai. CWE examination mein candidate ko call letter ke zariye exam ki date aur jagah bata di jati hai jo kay registration kay baad IBPS ki official website sey download kiya ja sakta hai.




Common Written Examination ki marking scheme mein har ghalat answer ki negative marking hoti hai CWE exams kay 2 levels hote hain pehle level mein kafi students qualify kar lete hain lekin 2nd level mein sirf chand selected candidates qualify kar pate hain. Jo students dono exams qualify kar jate hain unhy interview kay liye call letters bheje jate hain. Interview mein candidate ko har tarah sey check kiya jata hai usky baad faisla kiya jata hai CWE examination ka criteria Reasoning, English Language, Computer Skills, professional knowledge, general awareness aur quantitative awareness kay subjects ko cover karta hai.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu