Ladies MC Full Form in Hindi Full Form of MC Period in Hindi

What is Menses Period in Urdu Menstruation Meaning in Urdu

Kya Aap bhi Internet Se Paise Kamana chahte ho? Domain konsa buy karen aur hosting kis company ki lain Website bana kar us say paise kis tarah kamaye? Internet Ki duniya mein SEO karke Google mein apni website ko sab se upar top kaise laye videos bana kar YouTube se paise kaise kamaye jate hain? ye sari molmat lene ke liye aur mazeed jankari ke liye aap mere sath WhatsApp par bhi rabta kar sakte hain. Blogger, SEO Expert, Digital Marketer, Website Developer, Website Designer Salman Moazzam 👉 +923436002946, 03346424709

MC Full Form in Hindi What is Menstrual Cycle

Periods Kya Hota Hai in Hindi Menstrual Cycle Days in Hindi


MC ki full form Menstrual Cycle hoti hai menses hone ko menstruation kehte hain. MC ko Hindi
mein Masik Dharm bhi kaha jata hai aur isay Urdu mein Mahwari kaha jata hai. Menstrual Cycle ko aam taur par Menses aur Periods bhi kaha jata hai. MC aurat ki body mein hone wali changes ka marhala hai. Ye aam taur par qudarti badalo hai jo kay larki ki uterus aur ovaries mein isliye hota hai takay aurat pregnant ho sake.
Female ki body mein ye cycle ovocytes ki production kay liye bohat zarori hota hai. Ye women ki uterus ko pregnancy kay liye ready karta hai. Taqreeban 80 percent khawateen Premenstrual Cycle sey guzarti hain jisay PMS bhi kaha jata hai iska asar aik nojawan larki par chehre par danay nikalne, breasts ka naram hona, mood ka change hona, phoolna ya gas waghera, thakawat mehsoos hona aur tabiyat mein chirchira pan hona ye sab menses ki nishaniyan hain.

Menses Definition in Urdu


Period Kitne Din Hona Chahiye Periods Kitne Din Chalta Hai?


Menstrual Cycle ka pehla period 12 sey 15 saal ki umar mein hota hai. Iss time period ko aam taur par menarche kehte hain. Periods ki length 21 sey 45 din tak hoti hai yani aik nojawan larki ko normal menses 21 sey le kar 45 din tak ka hota hai jab kay adult women jo bari umar ki khawateen hoti hain unka period cycle 21 sey 31 din tak ka hota hai. Menses aana 45 sey 55 saal ki umar mein mukammal taur par band ho jate hain.

Menstrual Cycle Ka Sehat Par Asar


Menstrual Cycle aik problem ya bimari nahi hai balkay ye aap ki sehat ko regulate karta hai aur aik aurat ki body ko sahi taur par function aur women kay reproductive system ko healthy rakhta hai. Menses ovocytes aur body ko pregnancy kay liye taiyar karne ka natural process hai. Aik average Menstrual Cycle 28 din tak rehta hai. Periods ki wajah sey aurat ki body mein hormonal changes aati hain aur ye fertility ko effect karta hai jiski wajah sey aap kay mood mein tabdeeli bhi aati hai. Menses uterus sey khoon nikalta hai aur patli ratubat bhi kharij hoti hai.
Menstrual Cycle kisi bhi aurat ki zindagi mein bohat ahem cheez hai isliye aapko iska dhyan rakhna chahiye kuch larkiyan pareshan ho kar menses ko rokne wali tablets istemal karti hain jo kay aap ki sehat ke liye khatarnak aur nuqsan deh hai kyun ki kisi bhi natural process ko rokna humare liye nuqsan deh hota hai. Agar aap apne menstrual cycle mein koi change ya up down note karti hain jaise kay menses ka bohat ziyada aana, menses ka na aana, menses ka bohat painful aana ya menses ruk jana etc. to phir aap ko gynecologist sey contact karna chahiye. Agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu