ECG Ka Full Name ECG Ka Full Form ECG Ki Full Form in Hindi

ECG Full Form in Medical What is ECG In Medical in Hindi


ECG Test in Medical ECG Jankari in Hindi/Urdu

ECG Meaning in Urdu



ECG ki full form Electrocardiogram hai ye medical test hai ye heart activity ko check karta hai asan lafzon mein jo dil ki harkat ko check karta hai. Ye insani dil ki electrical activity ko samne lata hai isay EKG bhi kaha jata hai. ECG Test procedure mein pain nahi hoti ye heartbeat ki speed check karta hai kay heartbeat kitni fast hai isky ilawa ye heartbeat ki rhythm ko bhi check karta hai kay heartbeat normal condition mein hai ya nahi ECG dil mein sey guzarne walay electrical signals ki timing aur strength bhi batati hai. Bunyadi taur par ECG test procedure dil ki mukhtalif bimariyon ko pakar sakta hai jaise kay heart attacks, heart failures aur arrhythmias etc.

ECG Test Procedure ECG Ka Test Kis Tarah Kiya Jata Hai?



Electrocardiography jisy EKG aur ECG bhi kaha jata hai is process mein heart ki electrical activity ki recording ki jati hai jis mein elctrodes directly skin par lagaye jate hain.  Ye electrodes skin mein hone wali choti tabdelion ko pakar sakte hain jo kay electrophysiologic result se heart muscle ki har heartbeat sey milte hain. Aam taur par 12 lead ECG 10 electrodes skin par lagaye jate hain jo kay aam taur par paslion aur chati ke upar fit kiye jate hain. Heart ki electrical potential ko check karne ke liye 12 mukhtalif angles sey magnitude check kiya jata hai jo har 10 seconds bad record hota hai.

ECG ki madad sey bohat sari qeemti malomat milti hai jis sey dil kay structure aur function ka pata chalta hai. ECG ko dil ki raftar check karne aur heartbeats ki rhythm measure karne ke liye istemal kiya jata hai. ECG aik bohat ahem medical procedure hai jo kay ab aam taur par medical science mein istemal kiya jata hai. Agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu