U.A.E Ka Pura Naam U.A.E Full Form in Hindi
Dubai Full Form U.A.E Ki Capital U.A.E Ki Rajdhani
U.A.E Full Form Details in Urdu/Hindi |
U.A.E Short History
U.A.E ki full form United Arab Emirates hai jisy Dubai bhi kaha jata hai jo kay United Arab Emirates ka aik popular city hai. U.A.E Arabian Peninsula ka mashraqi khita hai ye Oman kay Gulf aur Persian Gulf kay janoobi samandar kay kinaray kay sath hai. Dubai ka hisa samundari sarhadon mein hai jin mein Kuwait, Qatar, Iran, Bahrain aur Iraq shamil hai jab kay Dubai ka hisa zameeni hisa land border Saudi Arabia aur Oman kay sath hai. U.A.E ko samundar ka safar karne walon ne abad kiya tha jo bad mein 7th Century mein Islam mein revert ho gaye thy. U.A.E ka capital ya rajdhani Abu Dhabi hai.
Duniya Ki Sabse Unchi Imarat Konsi Hai?
United Arab Emirates apni khoobsurati aur highest buildings ki wajah sey bohut famous hai duniya ki sab sey unchi building Burj ul Khalifa dubai mein hai iss sey pehle highest building Burj Ul Arab thi ye bhi Dubai mein he hai.
U.A.E kay pass dunya kay bohat baray oil reserves aur natural gas kay reserves majood hain. Oil reserves mein Dubai puri dunya mein 7th number hai jab kay Natural Gas reserves mein 17th number par hai. United Arab Emirates ki economy U.A.E ki famous City Dubai ki wajah sey International Trade aur Transport mein bohat popular hai. Dubai kay laws sakht hain kyunki Dubai aik Islamic Country hai isliye wahan jaane walay logon ko Dubai kay laws ko follow karna parta hai. Agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath share karen.
Comments
Post a Comment