UPSC Exam Kya Hai UPSC Full Details UPSC Exam In Urdu UPSC Ki Jankari Hindi Me

UPSC Full Form in Hindi UPSC Full Information in Hindi


UPSC Full Form in Hindi/Urdu UPSC Full Jankari

UPSC Exam Full Information What is UPSC Exam In India




UPSC ki full form Union Public Service Commission hai ye aik central government agency hai jo kay mukhtalif exams karwati hai jaise kay engineering services exam, civil service exam, Indian forest service exam, central armed police forces ya assistant commandant exam, Naval academy exam, special class railway exam, Combined defense services exam, Combined medical services exam etc. Ye examinations jo UPSC ki janib sey liye jate hain India mein sab sey mushkil exams samjhe jate hain jiska success rate sirf 0.1% se 0.3% tak hai.
India ka constitution UPSC ko ye exam conduct karne ki ijazat deta hai. UPSC ke constitution mein aur bhi roles hain jaisay kay Posts ki Recruitment aur interview jesi services, isky ilawa government ko recruitment methods ki advices dena, civil services ke mutaliq discipline cases aur isky ilawa dusri zimedariyan jaise pensions waghera.



India aik democratic country hai aur India mein rehne waly logon ka haq hai kay wo isky system ka hissa banay lekin leaders ki help karna koi asan kaam nahi hai aisa karne ke liye drust logon ka intekhab kiya jata hai isky liye India kay constitution ne aik aisi body banai hai jo ye selections karne ki zimedar hoti hai. UPSC ya Union Public Service Commision aik central agency hai jo jo Indian Government ki janib sey examinations ke liye appointed ki gai jiski madad sey Government ki services jaise defence, engineering, civil services aur dusri bohat sari posts par candidates ko bharti kiya jata hai.



UPSC ka headquarter New Delhi mein hai UPSC ko British Rule kay doran 1st October 1926 mein banaya gaya tha UPSC ka main role right candidates ko government ke mukhtalif departments mein advisory committee ke taur par select karna hai jiski wajah sey institutions ko sahulat di jaye aur sahi administration ki ja sake. UPSC ki importance is bat sey lagai ja sakti hai kay Union Public Service Commision Railways, Forest Department, Armed Forces, Civil Services, Postal Services aur dusri bohat sari fields mein candidates ko examinations ke zariye select karti hai. Agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu