MLA Ka Full Form Kya Hota Hai Full Form Of MLA in Politics in Hindi

MLA Ka Full Form Kya Hoga MLA Ki Full Form Kya Hai


MLA Full Form in Hindi

MLA Ka Full Form Bataiye MLA Ka Hindi Full Form



MLA ki full form Member of Legislative Assembly hai. MLA aik representative hota hai jo kay kisi khass electoral district kay mukhtalif voters elect karte hain. Ye legislative assembly ka important member hota hai jo apne halqay kay mukhtalif issues par baat cheet karta hai. Waqt parne par Chief Minister bhi aik MLA ki position ko sambhal sakta hai aur MLA ka role aik sey zyada bhi ho sakta hai. India ki government kay three-tiered governance structure hai in sab kay apne executive functions hote hain.
Sab sey uncha order Union ya phir Central government ka hota hai usky baad State Government aati hai kuch siyasi taqatain Union Government sey neechey hoti hai jis sey states kay elected parties hoti hain. Third tier local management system ka hota hai jaise kay Municipalities aur Panchayats waghera. Har state government Legislative Assembly ka hona zarori hai jisy Vidhan Sabha bhi kaha jata hai aur isky members ko MLAs ya phir Members of Legislative Assembly kaha jata hai.

MLA Kon Hota Hai?



MLA (Member of Legislative Assembly) aik elected representative hota hai jo kay state kay mukhtalif halqon sey chuna jata hai. Aik qanoon kay mutabiq MLAs ki tadad 500 sey ziyada nahi ho sakti aur 60 sey kam nahi ho sakti. In mein sey kuch states kay jaise Goa kay 40 members hain Puducherry kay 30 aur Sikkim kay 32 members hain lekin qanoon kay mutabiq 60 sey kam nahi ho sakte. MLA ki zimedari Lok Sabha kay MP (Member of Parliament) kay barabar hoti hai. Legislative Assembly har state mein sab sey bari law making authority hoti hai MLAs logon kay representative hote hain jo har halqay kay logon kay masail sunte aur unka khayal rakhte hain.
Har State ko asani kay sath administrate karne kay liye halkon mein taqseem kiya jata hai. ilaqay kay log apne representative MLA ko elect karte hain jo kay ilaqay kay masail government tak pohanchne ka zimedar hota hai. MLAs 5 saal tak office sambhalte hain jab tak next election na ho ya phir Legislative Assembly ko khatam na kar diya jaye ya phir MLA kisi fraud mein shamil ho. Kya aap jante hain kay ap ki wajah sey kisi ki help ho sakti hai ji haan agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay apne friends ke sath share karen apki wajah sey kisi ki help ho sake aur agar aap mujhse koi sawal puchna chahte ya agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath facebook aur twitter par share karen.

Comments

Popular posts from this blog

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

NOC Kya Hota Hai NOC Ki Full Form Kya Hai NOC Ki Jankari NOC Full Form In Hindi