GPS Ka Matlab Kya Hai GPS Ka Full Form Kya Hai GPS Full Form And Meaning In Hindi

GPS Ka Kya Use Hai GPS Ka Pura Naam GPS Ka Full Name


GPS Tracking GPS Technology Knowledge in Hindi

GPS Technology Information in Urdu





GPS ki full form Global Positioning System hai GPS aik navigation system hai jo kay satellite network ki madad sey kaam karta hai. GPS United States ne 1973 mein shuru kiya tha GPS ka asal maqsad zameen par mojood kisi bhi jagah ka time aur address pata karna hai shuru mein ye sirf military ke liye banaya gaya tha phir ye commercial aur civil maqsad ke taur par bhi istemal hone laga aaj GPS puri dunya mein driving directions aur locations maloom karne kay liye istemal hota hai. Technology ki development ke sath sath GPS ka system mazeed behtar ho gaya hai aur sahi time aur jagah batata hai GPS system satellites ka group hai jo kay earth kay Orbit kay pass hai aur mukamal taur par US Defense Department ki janib sey control kiya jata hai.



GPS Global Position System space based system hai jo kay navigational yani jagah ka pata karna aur rasta maloom karne ke liye istemal hota hai. GPS system time aur location ki information ko ikatha karta hai aur us jagah ki mosami sorat e haal ko bhi collect kar sakta hai. GPS systems military, intelligence, civil users aur duniya ke mukhtalif hison sey commercial customers ki life mein important role play karta hai.



GPS USA ki government ki ne banaya tha ab isay har koi shakhs free istemal kar sakta hai GPS function use karne ke liye aap ke pass GPS wala smartphone ya phir GPS receiver hona zaroori hai. GPS ko dosry countries ne bhi banaya hai jisy wo khud maintain karte hain. Russia mein GLONASS (Global Navigation Satellite System), China mein BeiDou Navigation Satellite System, Japan mein Quasi-Zenith Satellite System aur ab India mein bhi GPS par kaam ho raha hai jo kay IRNSS (Regional Navigation Satellite System) hai. Agar aap ko ye jankari achi lagi hai to nechy thanks box par click karen aur ye information apne friends aur family kay sath share karen.

Comments

Popular posts from this blog

CGPA Kya Hota Hai CGPA Full Form in Hindi CGPA Meaning in Urdu

B.Com Full Form In Commerce Courses B.Com Meaning In Urdu B.Com Full Form In Hindi

RTGS Ka Matlab Kya Hai RTGS Full Form In Banking In Hindi RTGS Ka Full Form In Urdu